Posts

Showing posts from 2012

Tere Pyaar ne adhura shayar bana diya hai mujhko

Tere Pyaar ne adhura shayar bana diya hai mujhko Tere pyaar ne adhura shayar bana diya hai mujhko, Na tera pyaar mere liye raha, aur na tu raha, Sochti hoon kuch likhoon, par kya likhoon, Na hindi aati hai na urdu, Angrezi ki grammar bhi adhuri si aati hai, Kuch kal ke liye likhti hoon, kuch aaj mein, Kuch bitey hue pal ke liye likhti hoon, Ab nahi raha koi waqt ka pehra, Na ghadi ki tick tock sunayi deti hai,  Na badalte calendar ke panne dikhaye dete hai, Tere pyaar ne adhura shayar bana diya hai mujhko Kabhi dhundti hoon main alfaaz gulzar ke lafzo mein, To kabhi ghalib ki ghazal mein, Kabhi manto saab ki kahaniya, Ya phir murakami ki baatein, Sirf I love you kehne se to baat nahi banti, Na jaane kyun itne sapne dekhti hoon mein likhne ka, Shayad na jaane kaunsa nagma tumein phir mujhe apna kar jaaye, Shayad tumein phir meri oar khinch laaye, Yun na tum kabhi door gaye ho mere khayalo se, Lekin phir achanak ye mann yeats ki baat yaad karata hai “in dreams beg

a poem (perhaps an incomplete story)

Woh  aaj bhi waqt ke pul paar uska intezar kar rahi thi, Har roz ek naya suraj ek nayee ummeed leke aata. Ab to uski halki nili saree bhi purani ho gayee thi, Pehle to chaand har raat pehra dene aata tha, Ab to woh bhi thak gaya tha, Maano jaise budha sa ho gaya tha chand, baadalon mein chhipkar so jaata tha, Pul ke neeche ek nadi behti thi, Ek akela sa gaana gaati thi hamesha, Shayad woh bhi kisika intezar kar rahi thi, Shayad usney apni saari yaadein ek copy mein likh rakh thi, Maano jaise ek umr bhar ki daastan ek nagme mein likh rakhi thi, Copy ke panne purane ho gaye the, aur siyahi kab ki khatam ho gayee thi, Par woh ab bhi gaane likhti thi uske intezar mein woh  aaj bhi uska intezar kar rahi thi, Wahi purane se pul par, shayad yahi adhoori si uski kahani thi