Posts

Showing posts from February, 2012

a poem (perhaps an incomplete story)

Woh  aaj bhi waqt ke pul paar uska intezar kar rahi thi, Har roz ek naya suraj ek nayee ummeed leke aata. Ab to uski halki nili saree bhi purani ho gayee thi, Pehle to chaand har raat pehra dene aata tha, Ab to woh bhi thak gaya tha, Maano jaise budha sa ho gaya tha chand, baadalon mein chhipkar so jaata tha, Pul ke neeche ek nadi behti thi, Ek akela sa gaana gaati thi hamesha, Shayad woh bhi kisika intezar kar rahi thi, Shayad usney apni saari yaadein ek copy mein likh rakh thi, Maano jaise ek umr bhar ki daastan ek nagme mein likh rakhi thi, Copy ke panne purane ho gaye the, aur siyahi kab ki khatam ho gayee thi, Par woh ab bhi gaane likhti thi uske intezar mein woh  aaj bhi uska intezar kar rahi thi, Wahi purane se pul par, shayad yahi adhoori si uski kahani thi