Tere Pyaar ne adhura shayar bana diya hai mujhko

Tere Pyaar ne adhura shayar bana diya hai mujhko



Tere pyaar ne adhura shayar bana diya hai mujhko,

Na tera pyaar mere liye raha, aur na tu raha,

Sochti hoon kuch likhoon, par kya likhoon,

Na hindi aati hai na urdu,

Angrezi ki grammar bhi adhuri si aati hai,

Kuch kal ke liye likhti hoon, kuch aaj mein,

Kuch bitey hue pal ke liye likhti hoon,

Ab nahi raha koi waqt ka pehra,

Na ghadi ki tick tock sunayi deti hai, 

Na badalte calendar ke panne dikhaye dete hai,

Tere pyaar ne adhura shayar bana diya hai mujhko

Kabhi dhundti hoon main alfaaz gulzar ke lafzo mein,

To kabhi ghalib ki ghazal mein,

Kabhi manto saab ki kahaniya,

Ya phir murakami ki baatein,

Sirf I love you kehne se to baat nahi banti,

Na jaane kyun itne sapne dekhti hoon mein likhne ka,

Shayad na jaane kaunsa nagma tumein phir mujhe apna kar jaaye,

Shayad tumein phir meri oar khinch laaye,

Yun na tum kabhi door gaye ho mere khayalo se,

Lekin phir achanak ye mann yeats ki baat yaad karata hai “in dreams begin responsibilities”

Likhna chahti hoon kuch aisa jisse tere mere charche ho,

Dekhte ho mez pe rakhi kitaab aur kalam,

Intezar kar rahi hai mera likhne ka,

Har ek unkahe lafz mein, ek ummeed chhupi hai,

Tumein phir se manane ek zid chadi hai,

Tere pyaar ne adhura shayar bana diya hai mujhko

(I think most of the inspiration came for this poem when i was making roti and listening to Beyaan Ghalib by Gulzaar saab and Jagjit singh)



Comments

  1. the last takes the cake..oops the roti...
    enjoyed it immensely.

    ReplyDelete
  2. Lovely! Very nice work with the flow of Ghalib, Murakami and Yeats :)

    ReplyDelete
  3. I agree with Sukanto.

    ReplyDelete
  4. Good God!, All these years never knew you were a poet - and a damn good one too. Wish I could write even half as much.

    ReplyDelete
  5. Nice.. quite emotional.. Like the mentions of Murakami, Ghalib, Gulzar, Yeats ..

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Thoughts & Review on- Pinto has an idea by Rajeev Saxena

Now a woman is a poem...

Burden of being lovers